December 15, 2005

Bheed mein tanhayee...


Bheed mein tanhaayi si hai
Dil pooch rahaa hai aisa kyun?
Bas, yeh aansoon tapak pade hain aaj
Najaane yeh dil iss uljhann mein kyun...

Sabh kuchh hai yahaan
Lekin phir bhi ek kammi si hai
Sabh apne apne paas hain
Phir bhi ajeeb nammi si hai...

Shaayad yehi hai uljhann meri
Ke joh apne hain, woh hain bhi par nahin
Jab chaahti hoon woh hon paas apne
Dekhne mein woh hain kahin nahin

Mehsoos karna chaahti hoon unko
Par phir bhi, woh ehsaas na aaye
Dil bohut akelaa hai aaj
Aur bas, doobta doobta chalaa jaaye.

Koi sambhaalo issey
Bheed mein bhi hone lagi tanhaayi
Kaash paas aakar koi duur karta issey
Varna iss tanhaayi se na jaaoon maari.

Had got this as a forward some times back... could relate to it very much today... hats off the author of this poem...

6 comments:

Jay said...

"Mehsoos karna chaahti hoon u's'ko
Par phir bhi, woh ehsaas na aaye
Dil bohut akelaa hai aaj
Aur bas, doobta doobta chalaa jaaye."

Tanhaaye ....!

"Dhoor bana i thi manzil ko .... Rasthe pe he shaam huey"

"Har kushi sooo gayi. Zindagi so gayi"

Tanhaaye - DCH

I guess 'just that' explains it all.

Nishu said...

Welcome to the world of loneliness!!

(^_^)

Naveen said...

Khushi..If you could have translated this in English, perhaps I could have empathized with this too :)

Shikha said...

Bheed mein tanhaayee..all of us feel it at some point of our lives,dont we?

Nishu said...

hey, No updates??

rebel_on_loose said...

True....
Hats off to the author of this poem!